sahaara chahiye koi bashar ko
sahārā chāhiye koī bashar ko
baḌhā diije zarā dard-e-jigar ko
ḳhatā-e-dīd hai taslīm lekin
maiñ āḳhir kyā karūñ apnī nazar ko
hamārī to shab-e-ġham hai musalsal
sahar ham ne nahīñ samjhā sahar ko
maiñ har parde meñ tujh ko dekh lūñgā
vafā ne raushnī dī hai nazar ko
maiñ kin nazroñ se tum ko dekhtā huuñ
zarā pahchān lo merī nazar ko
tumhāre baad vo tanhā.iyāñ haiñ
mujhe ghar aur maiñ taktā huuñ ghar ko
ye mahfil raushnī-e-sham.a tak hai
na hogā koī parvāna sahar ko
bahut hai ik jhalak jalve kī 'maz.har'
sahārā chāhiye zauq-e-nazar ko
sahaara chahiye koi bashar ko
baDha dije zara dard-e-jigar ko
KHata-e-did hai taslim lekin
main aaKHir kya karun apni nazar ko
hamari to shab-e-gham hai musalsal
sahar hum ne nahin samjha sahar ko
main har parde mein tujh ko dekh lunga
wafa ne raushni di hai nazar ko
main kin nazron se tum ko dekhta hun
zara pahchan lo meri nazar ko
tumhaare baad wo tanhaiyan hain
mujhe ghar aur main takta hun ghar ko
ye mahfil raushni-e-shama tak hai
na hoga koi parwana sahar ko
bahut hai ek jhalak jalwe ki 'mazhar'
sahaara chahiye zauq-e-nazar ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.