sahaara main nahin banta agar udasi ka
sahārā maiñ nahīñ bantā agar udāsī kā
Thikāna hotā kahāñ aur kidhar udāsī kā
vabā.ī shakl banā lī hai is maraz ne ab
shikār hone lagā har bashar udāsī kā
bilā-sabab bhī kabhī dil udaas hotā hai
koī javāz nahīñ hotā har udāsī kā
har ek moḌ se rasta nayā nikaltā hai
tamām hotā nahīñ hai safar udāsī kā
maiñ terī chāragarī ko salām kartā huuñ
magar 'ilāj nahīñ chārāgar udāsī kā
bas ek baar use maiñ ne udaas dekhā thā
hai aaj tak mire dil par asar udāsī kā
ḳhushī kā apnā maza jo hai so hai apnī jagah
maza ik apnā alag hai magar udāsī kā
darūn-e-ḳhāna bhī vo hai barūn-e-ḳhāna bhī
'kamāl' ghar hai tumhārā ki ghar udāsī kā
sahaara main nahin banta agar udasi ka
Thikana hota kahan aur kidhar udasi ka
wabai shakl bana li hai is maraz ne ab
shikar hone laga har bashar udasi ka
bila-sabab bhi kabhi dil udas hota hai
koi jawaz nahin hota har udasi ka
har ek moD se rasta naya nikalta hai
tamam hota nahin hai safar udasi ka
main teri chaaragari ko salam karta hun
magar 'ilaj nahin chaaragar udasi ka
bas ek bar use main ne udas dekha tha
hai aaj tak mere dil par asar udasi ka
KHushi ka apna maza jo hai so hai apni jagah
maza ek apna alag hai magar udasi ka
darun-e-KHana bhi wo hai barun-e-KHana bhi
'kamal' ghar hai tumhaara ki ghar udasi ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.