sahaare un ke jab hasil nahin hain
sahāre un ke jab hāsil nahīñ haiñ
to jiine ke maze kāmil nahīñ haiñ
nigāheñ kaam kar jaatī haiñ dil kā
ḳhudā shāhid ki vo qātil nahīñ haiñ
na shām-e-ġham na sub.h-e-zindagānī
yahī dilchaspiyāñ hāsil nahīñ haiñ
jinheñ ehsās-e-ḳhuddārī hai ai dost
haiñ fāqa-kash magar saa.il nahīñ haiñ
ye ḳhās-o-‘ām kī tafrīq kaisī
ham is tafrīq ke qaa.il nahīñ haiñ
ḳhalā meñ uḌ ke pahuñche haiñ kuchh insāñ
magar is kaam meñ kāmil nahīñ haiñ
chaman meñ rah ga.e murjhā ke jo phuul
vo 'bāsir' haar ke qābil nahīñ haiñ
sahaare un ke jab hasil nahin hain
to jine ke maze kaamil nahin hain
nigahen kaam kar jati hain dil ka
KHuda shahid ki wo qatil nahin hain
na sham-e-gham na subh-e-zindagani
yahi dilchaspiyan hasil nahin hain
jinhen ehsas-e-KHuddari hai ai dost
hain faqa-kash magar sail nahin hain
ye KHas-o-‘am ki tafriq kaisi
hum is tafriq ke qail nahin hain
KHala mein uD ke pahunche hain kuchh insan
magar is kaam mein kaamil nahin hain
chaman mein rah gae murjha ke jo phul
wo 'basir' haar ke qabil nahin hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.