Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sahar jitegi ya sham-e-ghariban dekhte rahna

Mustafa Zaidi

sahar jitegi ya sham-e-ghariban dekhte rahna

Mustafa Zaidi

MORE BYMustafa Zaidi

    sahar jītegī shām-e-ġharībāñ dekhte rahnā

    ye sar jhukte haiñ dīvār-e-zindāñ dekhte rahnā

    har ik ahl-e-lahū ne bāzī-e-īmāñ lagā hai

    jo ab baar hogā vo charāġhāñ dekhte rahnā

    idhar se mudda.ī guzreñge īqān-e-sharī.at ke

    nazar aa jaa.e shāyad koī insāñ dekhte rahnā

    use tum log kyā samjhoge jaisā ham samajhte haiñ

    magar phir bhī kareñge us se paimāñ dekhte rahnā

    samajh meñ aa gayā terī nigāhoñ ke ulajhne par

    bharī mahfil meñ sab ham ko hairāñ dekhte rahnā

    hazāroñ mehrbāñ is rāste par saath ā.eñge

    miyāñ ye dil hai ye jeb o garebāñ dekhte rahnā

    dabā rakkho ye lahreñ ek din āhista āhista

    yahī ban jā.eñgī tamhīd-e-tūfāñ dekhte rahnā

    sahar jitegi ya sham-e-ghariban dekhte rahna

    ye sar jhukte hain ya diwar-e-zindan dekhte rahna

    har ek ahl-e-lahu ne bazi-e-iman laga di hai

    jo ab ki bar hoga wo charaghan dekhte rahna

    idhar se muddai guzrenge iqan-e-shariat ke

    nazar aa jae shayad koi insan dekhte rahna

    use tum log kya samjhoge jaisa hum samajhte hain

    magar phir bhi karenge us se paiman dekhte rahna

    samajh mein aa gaya teri nigahon ke ulajhne par

    bhari mahfil mein sab ka hum ko hairan dekhte rahna

    hazaron mehrban is raste par sath aaenge

    miyan ye dil hai ye jeb o gareban dekhte rahna

    daba rakkho ye lahren ek din aahista aahista

    yahi ban jaengi tamhid-e-tufan dekhte rahna

    Source :
    • Book : mauj mrii sadaf sadaf (Pg. 96)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now