sahar ke baad bhi jo log jagne se rahe
sahar ke ba.ad bhī jo log jāgne se rahe
kisī bhī ḳhvāb kī ta.abīr dekhne se rahe
haTā rahe haiñ sabhī raah se mirī patthar
vo mere paañv kī zanjīr kāTne se rahe
ho do qadam kī hī duurī pe tum khaḌe lekin
qadam baḌhā ke mirā haath thāmne se rahe
maiñ aa.ina huuñ tumhārā isī sabab se tum
mire vajūd kī ḳhūbī ko DhūñDne se rahe
hai muḳhtasar ye kahānī ki vo mire nā hue
rahe palaTne se vo ham bhī rokne se rahe
zamāna dauḌ rahā hai ye kaisī dauḌ 'hinā'
jo ghar se nikle vo phir ghar ko lauTne se rahe
sahar ke baad bhi jo log jagne se rahe
kisi bhi KHwab ki tabir dekhne se rahe
haTa rahe hain sabhi rah se meri patthar
wo mere panw ki zanjir kaTne se rahe
ho do qadam ki hi duri pe tum khaDe lekin
qadam baDha ke mera hath thamne se rahe
main aaina hun tumhaara isi sabab se tum
mere wajud ki KHubi ko DhunDne se rahe
hai muKHtasar ye kahani ki wo mere na hue
rahe palaTne se wo hum bhi rokne se rahe
zamana dauD raha hai ye kaisi dauD 'hina'
jo ghar se nikle wo phir ghar ko lauTne se rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.