sahar mein gum the zamin aasman KHushbu ke
sahar meñ gum the zamīñ āsmān ḳhushbū ke
vo kar rahā thā fazā.el bayān ḳhushbū ke
havā-e-shahr-e-mohabbat mujhe vahīñ le chal
Thahar ga.e haiñ jahāñ kārvān ḳhushbū ke
ḳhushī se jis kī rifāqat meñ khil uThā thā dil
ham aaj tak haiñ usī mehrbān ḳhushbū ke
qadam qadam pe bahāreñ haiñ ham-safar merī
haiñ sar pe sāya-fagan sā.ebān ḳhushbū ke
havā ke rang ke bādal ke haiñ dar-o-dīvār
bane hue haiñ fazā meñ makān ḳhushbū ke
lahū hamārā amānat hasīñ gulāboñ kī
ḳhayāl apne sabhī tarjumān ḳhushbū ke
jo itr-bez banāyā hai apnī mahfil ko
to lafz dhūñDiye shāyān-e-shān ḳhushbū ke
ik aur paḌhiye mahaktī huī ġhazal 'sīmā'
haiñ ahl-e-bazm sabhī qadr-dān ḳhushbū ke
sahar mein gum the zamin aasman KHushbu ke
wo kar raha tha fazael bayan KHushbu ke
hawa-e-shahr-e-mohabbat mujhe wahin le chal
Thahar gae hain jahan karwan KHushbu ke
KHushi se jis ki rifaqat mein khil uTha tha dil
hum aaj tak hain usi mehrban KHushbu ke
qadam qadam pe bahaaren hain ham-safar meri
hain sar pe saya-fagan saeban KHushbu ke
hawa ke rang ke baadal ke hain dar-o-diwar
bane hue hain faza mein makan KHushbu ke
lahu hamara amanat hasin gulabon ki
KHayal apne sabhi tarjuman KHushbu ke
jo itr-bez banaya hai apni mahfil ko
to lafz dhunDiye shayan-e-shan KHushbu ke
ek aur paDhiye mahakti hui ghazal 'sima'
hain ahl-e-bazm sabhi qadr-dan KHushbu ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.