sahar na hath lagi sau sitare chhu aae
sahar na haath lagī sau sitāre chhū aa.e
duā karo hameñ ādab-e-justujū aa.e
ajiib raushnī dar aa.ī hai darīche se
purāne zaḳhm se yak-laḳht jyuuñ lahū aa.e
batāo gor-kano! ek ghar banā doge?
ki jis meñ ḳhvāb na chehra na aarzū aa.e
vo taara TuuTā idhar mail likh rahā huuñ tujhe
pa terā naam na chehra na yaad tū aa.e
chaTaḳh ke TūTnā aadat huī hai chehre kī
aur us pe shauq ki ā.īna rū-ba-rū aa.e
sahar na hath lagi sau sitare chhu aae
dua karo hamein aadab-e-justuju aae
ajib raushni dar aai hai dariche se
purane zaKHm se yak-laKHt jyun lahu aae
batao gor-kano! ek ghar bana doge?
ki jis mein KHwab na chehra na aarzu aae
wo tara TuTa idhar mail likh raha hun tujhe
pa tera nam na chehra na yaad tu aae
chaTaKH ke TuTna aadat hui hai chehre ki
aur us pe shauq ki aaina ru-ba-ru aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.