sahar ne sans li suraj chamakne wala tha
sahar ne saañs lī sūraj chamakne vaalā thā
diyā havāoñ kī zad meñ thā bujhne vaalā thā
ḳhabar milī ki mire vāste tū sahrā hai
maiñ terī yaad ke dariyā meñ bahne vaalā thā
daraḳht ghoñsle khāne lage parindoñ ke
maiñ Dar rahā thā shajar pe jo rahne vaalā thā
mirī tarah kā koī bhī nahīñ thā bastī meñ
ba-qaul yārāñ maiñ jañgal meñ rahne vaalā thā
shab-e-siyāh guzarte hī chāñd kahne lagā
agar ye ab bhī na kaTtī maiñ jalne vaalā thā
sahar ne sans li suraj chamakne wala tha
diya hawaon ki zad mein tha bujhne wala tha
KHabar mili ki mere waste tu sahra hai
main teri yaad ke dariya mein bahne wala tha
daraKHt ghonsle khane lage parindon ke
main Dar raha tha shajar pe jo rahne wala tha
meri tarah ka koi bhi nahin tha basti mein
ba-qaul yaran main jangal mein rahne wala tha
shab-e-siyah guzarte hi chand kahne laga
agar ye ab bhi na kaTti main jalne wala tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.