sahar se shab ka naqab utra to maine dekha
sahar se shab kā naqāb utrā to maiñ ne dekhā
zamīñ pe jab āftāb utrā to maiñ ne dekhā
shabāb meñ to nazar na us se milā sakā maiñ
hayāt kā jab shabāb utrā to maiñ ne dekhā
na sho.alagī thī na raushnī thī na dilkashī thī
falak se nīche shahāb utrā to maiñ ne dekhā
havā meñ ḳhunkī fazā meñ mastī bahaktā mausam
nazar se jām-e-sharāb utrā to maiñ ne dekhā
ḳhamosh sāhil machaltī maujeñ udaas manzar
ik aadmī zer-e-āb utrā to maiñ ne dekhā
maiñ ġhair jis ko samajh rahā thā vo maiñ hī ḳhud thā
libās-e-ġhaiz-o-itāb utrā to maiñ ne dekhā
ġhurūr us kā ġham-o-alam kī giraft meñ thā
jab us pe qahr-o-azāb utrā to maiñ ne dekhā
sahar se shab ka naqab utra to main ne dekha
zamin pe jab aaftab utra to main ne dekha
shabab mein to nazar na us se mila saka main
hayat ka jab shabab utra to main ne dekha
na shoalagi thi na raushni thi na dilkashi thi
falak se niche shahab utra to main ne dekha
hawa mein KHunki faza mein masti bahakta mausam
nazar se jam-e-sharab utra to main ne dekha
KHamosh sahil machalti maujen udas manzar
ek aadmi zer-e-ab utra to main ne dekha
main ghair jis ko samajh raha tha wo main hi KHud tha
libas-e-ghaiz-o-itab utra to main ne dekha
ghurur us ka gham-o-alam ki giraft mein tha
jab us pe qahr-o-azab utra to main ne dekha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.