sahba shaguftagi ki chhalakti zarur hai
sahbā shaguftagī kī chhalaktī zarūr hai
khiltī hai jab kalī to mahaktī zarūr hai
uThtī hai jo bhī mauj ġham-o-iztirāb kī
āñkhoñ se ashk ban ke Dhalaktī zarūr hai
jo be-samar hai us ko ye hāsil nahīñ sharaf
phaldār shāḳh ho to lachaktī zarūr hai
sābit ye kar rahī hai mirī āh-e-ātishīñ
siine meñ ġham kī aag bhaḌaktī zarūr hai
pā kar kisī ke nūr-e-hidāyat kī raushnī
be-nūr zindagī bhī chamaktī zarūr hai
bā-ehtiyāt nazreñ milāne ke bāvajūd
fart-e-adab se aañkh jhapaktī zarūr hai
parvāne be-qusūr nahīñ haiñ magar 'azīz'
lau sham.a-e-nāz kī bhī lapaktī zarūr hai
sahba shaguftagi ki chhalakti zarur hai
khilti hai jab kali to mahakti zarur hai
uThti hai jo bhi mauj gham-o-iztirab ki
aankhon se ashk ban ke Dhalakti zarur hai
jo be-samar hai us ko ye hasil nahin sharaf
phaldar shaKH ho to lachakti zarur hai
sabit ye kar rahi hai meri aah-e-atishin
sine mein gham ki aag bhaDakti zarur hai
pa kar kisi ke nur-e-hidayat ki raushni
be-nur zindagi bhi chamakti zarur hai
ba-ehtiyat nazren milane ke bawajud
fart-e-adab se aankh jhapakti zarur hai
parwane be-qusur nahin hain magar 'aziz'
lau shama-e-naz ki bhi lapakti zarur hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.