sahifa paDh raha hun bebasi ka
sahīfa paḌh rahā huuñ bebasī kā
ta.āqub kar rahā huuñ tīrgī kā
uTho yaaro jahān-e-kun-fakāñ meñ
baḌhā.eñ aur rutba aadmī kā
mire sar ko rakho shāne pe kuchh der
ho kam daurāniya āshuftagī kā
tumhārī samt kaise lauT aa.uuñ
irāda hī nahīñ hai vāpsī kā
hamāre baḳht meñ likkhā nahīñ hai
koī lamha zamāne ne ḳhushī kā
ye kaisī ḳhvāhish-e-nākām hai jo
mujhe hone nahīñ detī kisī kā
'adan' a.asāb par taarī junūñ ko
banānā mas.ala mat zindagī kā
sahifa paDh raha hun bebasi ka
taaqub kar raha hun tirgi ka
uTho yaro jahan-e-kun-fakan mein
baDhaen aur rutba aadmi ka
mere sar ko rakho shane pe kuchh der
ho kam dauraniya aashuftagi ka
tumhaari samt kaise lauT aaun
irada hi nahin hai wapsi ka
hamare baKHt mein likkha nahin hai
koi lamha zamane ne KHushi ka
ye kaisi KHwahish-e-nakaam hai jo
mujhe hone nahin deti kisi ka
'adan' aasab par tari junun ko
banana masala mat zindagi ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.