sahma sahma har ek chehra manzar manzar KHun mein tar
sahma sahma har ek chehra manzar manzar KHun mein tar
Jatinder Parwaaz
MORE BYJatinder Parwaaz
sahmā sahmā har ik chehra manzar manzar ḳhuun meñ tar
shahr se jañgal hī achchhā hai chal chiḌiyā tū apne ghar
tum to ḳhat meñ likh detī ho ghar meñ jī ghabrātā hai
tum kyā jaano kyā hotā hai haal hamārā sarhad par
be-mausam hī chhā jaate haiñ bādal terī yādoñ ke
be-mausam hī ho jaatī hai bārish dil kī dhartī par
aa bhī jā ab aane vaale kuchh un ko bhī chain paḌe
kab se terā rasta dekheñ chhat āñgan dīvār-o-dar
jis kī bāteñ ammāñ abbū aksar karte rahte haiñ
sarhad paar na jaane kaisā vo hogā purkhoñ kā ghar
sahma sahma har ek chehra manzar manzar KHun mein tar
shahr se jangal hi achchha hai chal chiDiya tu apne ghar
tum to KHat mein likh deti ho ghar mein ji ghabraata hai
tum kya jaano kya hota hai haal hamara sarhad par
be-mausam hi chha jate hain baadal teri yaadon ke
be-mausam hi ho jati hai barish dil ki dharti par
aa bhi ja ab aane wale kuchh un ko bhi chain paDe
kab se tera rasta dekhen chhat aangan diwar-o-dar
jis ki baaten amman abbu aksar karte rahte hain
sarhad par na jaane kaisa wo hoga purkhon ka ghar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.