sahme gumbad aur kabutar raat bhar
sahme gumbad aur kabūtar raat bhar
siskiyāñ lete haiñ mil kar raat bhar
jism kī sab ḳhānqāhoñ meñ samā’
aur saḌkoñ par qalandar raat bhar
merī āñkhoñ meñ udāsī bhar ga.e
bārishoñ meñ bhīgte ghar raat bhar
ab na kar un majlisī rātoñ kā zikr
ab jagātā hai koī Dar raat bhar
chāñd ko maiñ kah diyā kal sāf-sāf
kaun dekhe ek manzar raat bhar
kaash merī sub.h us ke saath ho
jo rahā hai mere andar raat bhar
ik jhalak dikhlā ke chhup jaate ho tum
aur taḌaptā hai samundar raat bhar
kasmasātā jāgtā sotā rahā
rang meñ Duubā vo paikar raat bhar
sahme gumbad aur kabutar raat bhar
siskiyan lete hain mil kar raat bhar
jism ki sab KHanqahon mein sama’
aur saDkon par qalandar raat bhar
meri aankhon mein udasi bhar gae
barishon mein bhigte ghar raat bhar
ab na kar un majlisi raaton ka zikr
ab jagata hai koi Dar raat bhar
chand ko main kah diya kal saf-saf
kaun dekhe ek manzar raat bhar
kash meri subh us ke sath ho
jo raha hai mere andar raat bhar
ek jhalak dikhla ke chhup jate ho tum
aur taDapta hai samundar raat bhar
kasmasata jagta sota raha
rang mein Duba wo paikar raat bhar
- Book : Aakhiri Ishq Sabse Pahle Kiya (Pg. 80)
- Author : Nomaan Shauque
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.