sahme paDe hain zehn mein kitne udas dard
sahme paḌe haiñ zehn meñ kitne udaas dard
us par bhī aur baḌh ga.e haiñ ās-pās dard
apnā to dard dard hai apne liye magar
kyoñ dūsroñ kā bhī nahīñ lagtā hai ḳhaas dard
saaqī davā to roz pilātā hai tū mujhe
par aaj man hai piine kā dasiyoñ gilās dard
miTtī nahīñ hai is liye bhī merī tishnagī
rakh detā hai laboñ pe na.ī roz pyaas dard
sahme paDe hain zehn mein kitne udas dard
us par bhi aur baDh gae hain aas-pas dard
apna to dard dard hai apne liye magar
kyon dusron ka bhi nahin lagta hai KHas dard
saqi dawa to roz pilata hai tu mujhe
par aaj man hai pine ka dasiyon gilas dard
miTti nahin hai is liye bhi meri tishnagi
rakh deta hai labon pe nai roz pyas dard
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.