sahmi hui gulshan mein har ek aaj kali hai
sahmī huī gulshan meñ har ik aaj kalī hai
sho.aloñ kī kabhī pyaas bhī shabnam se bujhī hai
jo aag dahaktī hai samundar ke jigar meñ
sāhil ke laboñ par bhī vahī tishna-labī hai
zulmat ke hisāroñ meñ rahī raat bhī lekin
ik sham.a bujhī jab vahīñ ik sham.a jalī hai
talvār bhī gardan pe ho jiinā bhī zarūrī
is ahd kā shāyad vo koī ek valī hai
andar se shikasta rahūñ bāhar se shagufta
ye rāh-e-alī hai ki ruḳh-e-bū-lahabī hai
ġharqāb hai sūraj haiñ nigāhoñ meñ ujāle
baḳhshish yahī sauġhāt zamāne se milī hai
sahmi hui gulshan mein har ek aaj kali hai
shoalon ki kabhi pyas bhi shabnam se bujhi hai
jo aag dahakti hai samundar ke jigar mein
sahil ke labon par bhi wahi tishna-labi hai
zulmat ke hisaron mein rahi raat bhi lekin
ek shama bujhi jab wahin ek shama jali hai
talwar bhi gardan pe ho jina bhi zaruri
is ahd ka shayad wo koi ek wali hai
andar se shikasta rahun bahar se shagufta
ye rah-e-ali hai ki ruKH-e-bu-lahabi hai
gharqab hai suraj hain nigahon mein ujale
baKHshish yahi saughat zamane se mili hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.