Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sahmi sahmi si rahti hai buDhi man

Seema Vijayvargeeya

sahmi sahmi si rahti hai buDhi man

Seema Vijayvargeeya

MORE BYSeema Vijayvargeeya

    sahmī sahmī rahtī hai būḌhī maañ

    apnī baat kahāñ kahtī hai būḌhī maañ

    beTe ḳhuub siyāne nikle haiñ us ke

    kyā kahnā chup rahtī hai būḌhī maañ

    apne ghar meñ apnoñ ke biich yahāñ

    ek parāyā-pan sahtī hai būḌhī maañ

    duudh dahī detī thī kal tak bachchoñ ko

    aañsū ab piitī rahtī hai būḌhī maañ

    apnoñ se jhiḌkī tā'ne sunte sunte

    añkhiyoñ se pal pal bahtī hai būḌhī maañ

    bojh banī hai ghar meñ phir bhī bachchoñ ko

    roz du'ā detī rahtī hai būḌhī maañ

    sahmi sahmi si rahti hai buDhi man

    apni baat kahan kahti hai buDhi man

    beTe KHub siyane nikle hain us ke

    kya kahna chup hi rahti hai buDhi man

    apne hi ghar mein apnon ke bich yahan

    ek paraya-pan sahti hai buDhi man

    dudh dahi deti thi kal tak bachchon ko

    aansu ab piti rahti hai buDhi man

    apnon se jhiDki ta'ne sunte sunte

    ankhiyon se pal pal bahti hai buDhi man

    bojh bani hai ghar mein phir bhi bachchon ko

    roz du'a deti rahti hai buDhi man

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now