sahn-e-gul-rang se aankhon ki rifaqat hai abhi
sahn-e-gul-rang se āñkhoñ kī rifāqat hai abhī
niiñd TuuTī hai magar ḳhvāb salāmat hai abhī
be-sabab to nahīñ chehre pe thakan ke āsār
dosh-e-ehsās pe ik bār-e-amānat hai abhī
dard-o-ġham naġhma-sarā haiñ mirī shiryānoñ meñ
ek ik saañs mirī mahv-e-ibādat hai abhī
rang kyā raushnī tasvīr huī jaatī hai
lamha-e-hijr-e-musalsal kī ināyat hai abhī
kaun sā mūnis-o-ġham-ḳhvār kahāñ kā ham-zād
ḳhud mirī zaat pas-e-gard-e-masāfat hai abhī
be-ḳhudī kyoñ na kare raqs mire paikar meñ
zaḳhm raushan haiñ mire dard meñ lazzat hai abhī
jaane kis moḌ pe dāmān-e-havas phailā de
'rāz' ye qalb jo maa.il ba-qanā.at hai abhī
sahn-e-gul-rang se aankhon ki rifaqat hai abhi
nind TuTi hai magar KHwab salamat hai abhi
be-sabab to nahin chehre pe thakan ke aasar
dosh-e-ehsas pe ek bar-e-amanat hai abhi
dard-o-gham naghma-sara hain meri shiryanon mein
ek ek sans meri mahw-e-ibaadat hai abhi
rang kya raushni taswir hui jati hai
lamha-e-hijr-e-musalsal ki inayat hai abhi
kaun sa munis-o-gham-KHwar kahan ka ham-zad
KHud meri zat pas-e-gard-e-masafat hai abhi
be-KHudi kyon na kare raqs mere paikar mein
zaKHm raushan hain mere dard mein lazzat hai abhi
jaane kis moD pe daman-e-hawas phaila de
'raaz' ye qalb jo mail ba-qanaat hai abhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.