Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sahn-e-maqtal mein har ek zaKHm-e-tamanna rakh do

Ishrat Kiratpuri

sahn-e-maqtal mein har ek zaKHm-e-tamanna rakh do

Ishrat Kiratpuri

MORE BYIshrat Kiratpuri

    sahn-e-maqtal meñ har ik zaḳhm-e-tamannā rakh do

    aur qātil nayā naam masīhā rakh do

    ab to rusvā.ī had meñ hai merī tishna-labī

    ab to hoñThoñ pe dahaktā huā sho.ala rakh do

    kitnī tārīk hai shab mere makāñ yāroñ

    in muñDeroñ pe koī chāñd chehra rakh do

    ab bārish meñ mirā naam chamak jā.egā

    laakh tum ret tah meñ mirā katba rakh do

    phir bhī haq baat ke kahne se na ba.az ā.ūñgā

    mere hāthoñ pe bhale daulat-e-duniyā rakh do

    niiñd aane lagī zulf ke saa.e meñ mujhe

    phir mire ḳhvāboñ pe taptā huā sahrā rakh do

    mere afsāne ko phir moḌ nayā de do

    aur unvān sulagtā huā lamha rakh do

    jo samajhte nahīñ merī zabāñ ko 'ishrat'

    un ke afkār meñ merā lab-o-lahja rakh do

    sahn-e-maqtal mein har ek zaKHm-e-tamanna rakh do

    aur qatil ka naya nam masiha rakh do

    ab to ruswai ki had mein hai meri tishna-labi

    ab to honThon pe dahakta hua shoala rakh do

    kitni tarik hai shab mere makan ki yaron

    in munDeron pe koi chand sa chehra rakh do

    ab ki barish mein mera nam chamak jaega

    lakh tum ret ki tah mein mera katba rakh do

    phir bhi haq baat ke kahne se na baz aaunga

    mere hathon pe bhale daulat-e-duniya rakh do

    nind si aane lagi zulf ke sae mein mujhe

    phir mere KHwabon pe tapta hua sahra rakh do

    mere afsane ko phir moD naya sa de do

    aur unwan sulagta hua lamha rakh do

    jo samajhte hi nahin meri zaban ko 'ishrat'

    un ke afkar mein mera lab-o-lahja rakh do

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now