sahne ko hijr jab bhi tamanna mazid ki
sahne ko hijr jab bhī tamannā mazīd kī
maiñ ne vajūd-e-sher se lazzat kashīd kī
dekhā thā raat ḳhvāb meñ sahrā-mizāj shaḳhs
nagrī bhī lag rahī thī vo ḳhvāja farīd kī
ai muftiyān-e-shahr tumheñ ilm hī nahīñ
logoñ ne mere chāñd ko dekhā to iid kī
ye sunnat-e-husain hai so is liye bhī maiñ
bai.at qubūl kī na kisī bhī yazīd kī
ḳhushiyāñ to dastiyāb thiiñ bāzār meñ magar
dānista maiñ ne hijr kī daulat ḳharīd kī
sahne ko hijr jab bhi tamanna mazid ki
main ne wajud-e-sher se lazzat kashid ki
dekha tha raat KHwab mein sahra-mizaj shaKHs
nagri bhi lag rahi thi wo KHwaja farid ki
ai muftiyan-e-shahr tumhein ilm hi nahin
logon ne mere chand ko dekha to id ki
ye sunnat-e-husain hai so is liye bhi main
baiat qubul ki na kisi bhi yazid ki
KHushiyan to dastiyab thin bazar mein magar
danista main ne hijr ki daulat KHarid ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.