sahra dikhai de na samundar dikhai de
sahrā dikhā.ī de na samundar dikhā.ī de
ab tak vahī bichhaḌne kā manzar dikhā.ī de
kyā kyā mirī nazar ne diye haiñ mujhe fareb
manzar bhī ab mujhe pas-e-manzar dikhā.ī de
thā kyā hasīn shahr kabhī shahr-e-dil ki ab
dar hī dikhā.ī de na koī ghar dikhā.ī de
milte haiñ kaise log mohabbat ke naam par
kab un kī āstīnoñ meñ ḳhanjar dikhā.ī de
qurbat se us kī raaz huā āshkār ye
vo khokhlā daraḳht tanāvar dikhā.ī de
kyā baat hai ki kūcha-o-bāzār meñ hameñ
'nasrīn' jo dikhā.ī de patthar dikhā.ī de
sahra dikhai de na samundar dikhai de
ab tak wahi bichhaDne ka manzar dikhai de
kya kya meri nazar ne diye hain mujhe fareb
manzar bhi ab mujhe pas-e-manzar dikhai de
tha kya hasin shahr kabhi shahr-e-dil ki ab
dar hi dikhai de na koi ghar dikhai de
milte hain kaise log mohabbat ke nam par
kab un ki aastinon mein KHanjar dikhai de
qurbat se us ki raaz hua aashkar ye
wo khokhla daraKHt tanawar dikhai de
kya baat hai ki kucha-o-bazar mein hamein
'nasrin' jo dikhai de patthar dikhai de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.