sahra-e-jaan mein dard ki purwaiyan bhi hain
sahrā-e-jāñ meñ dard kī purvā.iyāñ bhī haiñ
is anjuman meñ anjuman-ārā.iyāñ bhī haiñ
bazm-e-tasavvurāt meñ tanhā nahīñ huuñ maiñ
hamrāh mere aap kī parchhā.iyāñ bhī haiñ
maiñ aap kī judā.ī kā ġham kis liye karūñ
merī sharīk-e-ġham mirī tanhā.iyāñ bhī haiñ
'maikash' se tum miloge to ḳhush hoge dosto
is aadmī meñ saikḌoñ achhā.iyāñ bhī haiñ
sahra-e-jaan mein dard ki purwaiyan bhi hain
is anjuman mein anjuman-araiyan bhi hain
bazm-e-tasawwuraat mein tanha nahin hun main
hamrah mere aap ki parchhaiyan bhi hain
main aap ki judai ka gham kis liye karun
meri sharik-e-gham meri tanhaiyan bhi hain
'maikash' se tum miloge to KHush hoge dosto
is aadmi mein saikDon achhaiyan bhi hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.