sahra ki dhup ret ka ghar chahiye hamein
sahra ki dhup ret ka ghar chahiye hamein
Farhat Husain Khushdil
MORE BYFarhat Husain Khushdil
sahrā kī dhuup ret kā ghar chāhiye hameñ
taptī huī zamīñ kā safar chāhiye hameñ
lafzoñ meñ fikr-o-fan kī jo ḳhushbū bikher de
taḳhlīq-e-sher kā vo hunar chāhiye hameñ
bañdh jaa.e bazm-e-sher meñ ik vajd kā samāñ
har sher meñ vo kaif-o-asar chāhiye hameñ
asr-e-jadīd rāh-e-ḳhalā par hai gāmzan
apnī zamīñ pe rāhguzar chāhiye hameñ
har roz sāya-dār shajar kāTte haiñ jo
'ḳhush-dil' vo kah rahe haiñ shajar chāhiye hameñ
sahra ki dhup ret ka ghar chahiye hamein
tapti hui zamin ka safar chahiye hamein
lafzon mein fikr-o-fan ki jo KHushbu bikher de
taKHliq-e-sher ka wo hunar chahiye hamein
bandh jae bazm-e-sher mein ek wajd ka saman
har sher mein wo kaif-o-asar chahiye hamein
asr-e-jadid rah-e-KHala par hai gamzan
apni zamin pe rahguzar chahiye hamein
har roz saya-dar shajar kaTte hain jo
'KHush-dil' wo kah rahe hain shajar chahiye hamein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.