sahra ki wusaton mein ek saeban nahin hai
sahrā kī vus.atoñ meñ ik sā.ebāñ nahīñ hai
itne baḌe jahāñ meñ ik rāzdāñ nahīñ hai
merī zabāñ to chup hai lekin tujhe batā duuñ
sadiyoñ meñ miTne vaalī ye dāstāñ nahīñ hai
be-mol bik rahā huuñ tārīk sī galī meñ
ahl-e-nazar se lekin jauhar nihāñ nahīñ hai
terā ayaañ ho jalva aur zabt bhī ho lāzim
kyā hausla hai jis ke lab par fuġhāñ nahīñ hai
merā jahāñ sajā de jaadū tirī nazar kā
badla usī atā kā saarā jahāñ nahīñ hai
jo be-hunar haiñ un meñ rutbe baTe hue haiñ
ahl-e-hunar kā pursāñ koī yahāñ nahīñ hai
ġham meñ na Duub 'shāhīñ' ḳhushiyāñ bhī dekh apnī
insāñ nahīñ jo dil par ġham kā nishāñ nahīñ hai
sahra ki wusaton mein ek saeban nahin hai
itne baDe jahan mein ek raazdan nahin hai
meri zaban to chup hai lekin tujhe bata dun
sadiyon mein miTne wali ye dastan nahin hai
be-mol bik raha hun tarik si gali mein
ahl-e-nazar se lekin jauhar nihan nahin hai
tera ayan ho jalwa aur zabt bhi ho lazim
kya hausla hai jis ke lab par fughan nahin hai
mera jahan saja de jadu teri nazar ka
badla usi ata ka sara jahan nahin hai
jo be-hunar hain un mein rutbe baTe hue hain
ahl-e-hunar ka pursan koi yahan nahin hai
gham mein na Dub 'shahin' KHushiyan bhi dekh apni
insan nahin jo dil par gham ka nishan nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.