sahra ko dekhta hun kabhi apne ghar ko main
sahrā ko dekhtā huuñ kabhī apne ghar ko maiñ
mushkil ye aa paḌī hai ki jā.ūñ kidhar ko maiñ
badle dil-o-nigāh to har shai badal ga.ī
hairat se dekhtā huuñ tire bām-o-dar ko maiñ
ġhairoñ kā jaam bharte ho āñkheñ bachā ke kyoñ
pahchāntā huuñ ḳhuub tumhārī nazar ko maiñ
ab kaisā ġham ki ho chukā idrāk-e-zindagī
muddat huī ki bhuul gayā chārāgar ko maiñ
yuuñ laġhzish-e-qadam ke bahāne hazār the
ilzām de rahā huuñ ḳhud apnī nazar ko maiñ
pahchāntā nahīñ huuñ nuqūsh-e-qadam abhī
har roz dekhtā huuñ tirī rahguzar ko maiñ
'ahmad' ḳhizāñ ke daur meñ khiltā hai gul kahīñ
lā.ūñ kahāñ se DhūñD kar ahl-e-nazar ko maiñ
sahra ko dekhta hun kabhi apne ghar ko main
mushkil ye aa paDi hai ki jaun kidhar ko main
badle dil-o-nigah to har shai badal gai
hairat se dekhta hun tere baam-o-dar ko main
ghairon ka jam bharte ho aankhen bacha ke kyon
pahchanta hun KHub tumhaari nazar ko main
ab kaisa gham ki ho chuka idrak-e-zindagi
muddat hui ki bhul gaya chaaragar ko main
yun laghzish-e-qadam ke bahane hazar the
ilzam de raha hun KHud apni nazar ko main
pahchanta nahin hun nuqush-e-qadam abhi
har roz dekhta hun teri rahguzar ko main
'ahmad' KHizan ke daur mein khilta hai gul kahin
laun kahan se DhunD kar ahl-e-nazar ko main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.