sahra ko yun badal ke samundar bana diya
sahrā ko yuuñ badal ke samundar banā diyā
kyā ḳhuub us ne june december banā diyā
ye iltijā thī phuul ko rangat atā kare
us ne to puure baaġh ko behtar banā diyā
jaadū kiyā ḳhudā ne mirī Dor thaam kar
girtā huā savār sikandar banā diyā
ik rāstā dikhā ke navāzā hai aur phir
us ne safar meñ raah ko rahbar banā diyā
sīkhā hai shā.erī kā hunar hādsāt se
TuuTā jo dil to dil ne suḳhanvar banā diyā
bichhḌā bhī is tarah ki mohabbat ke dard ne
jo bhī kahā hai sher muqarrar banā diyā
sahra ko yun badal ke samundar bana diya
kya KHub us ne june december bana diya
ye iltija thi phul ko rangat ata kare
us ne to pure bagh ko behtar bana diya
jadu kiya KHuda ne meri Dor tham kar
girta hua sawar sikandar bana diya
ek rasta dikha ke nawaza hai aur phir
us ne safar mein rah ko rahbar bana diya
sikha hai shaeri ka hunar hadsat se
TuTa jo dil to dil ne suKHanwar bana diya
bichhDa bhi is tarah ki mohabbat ke dard ne
jo bhi kaha hai sher muqarrar bana diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.