sahra lage kabhi kabhi dariya dikhai de
sahrā lage kabhī kabhī dariyā dikhā.ī de
hairān huuñ maiñ kyā hai jahāñ kyā dikhā.ī de
āvāz koī ho maiñ usī kī sadā sunūñ
har-samt mujh ko ek hī chehra dikhā.ī de
nādāniyoñ kā dil kī bhī koī ilaaj ho
ban ke vo ġhair bhī mujhe apnā dikhā.ī de
mujh ko to anjuman hī lagā apnī zaat meñ
ik shaḳhs dūsroñ ko jo tanhā dikhā.ī de
kis kā yaqīn kījiye kis kā na kījiye
har chāragar mujhe to luTerā dikhā.ī de
'jāved' apnī apnī basīrat kī baat hai
sab din kahīñ mujhe to añdherā dikhā.ī de
sahra lage kabhi kabhi dariya dikhai de
hairan hun main kya hai jahan kya dikhai de
aawaz koi ho main usi ki sada sunun
har-samt mujh ko ek hi chehra dikhai de
nadaniyon ka dil ki bhi koi ilaj ho
ban ke wo ghair bhi mujhe apna dikhai de
mujh ko to anjuman hi laga apni zat mein
ek shaKHs dusron ko jo tanha dikhai de
kis ka yaqin kijiye kis ka na kijiye
har chaaragar mujhe to luTera dikhai de
'jawed' apni apni basirat ki baat hai
sab din kahin mujhe to andhera dikhai de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.