sahra mein ab to ja kar ek ghar banaya jae
sahrā meñ ab to jā kar ik ghar banāyā jaa.e
bastī se bhar gayā dil jañgal basāyā jaa.e
kyoñ apne ġham kī un se hālat bayān kar ke
miTTī meñ aabrū ko apnī milāyā jaa.e
saudā-e-āshiqī kā hai aaj phir taqāzā
phir qais ke junūñ kā jalva dikhāyā jaa.e
aao ki shaiḳh jī ko sāġhar dikhā ke dekheñ
ik baar shaiḳh ko bhī ab āzmāyā jaa.e
shāyad hamāre ghar par vo bhuul kar hī aa.eñ
is āsare pe apne ghar ko sajāyā jaa.e
us sang-dil ke 'shā.eq' badle hue haiñ tevar
apnā fasāna-e-dil kyoñ kar sunāyā jaa.e
sahra mein ab to ja kar ek ghar banaya jae
basti se bhar gaya dil jangal basaya jae
kyon apne gham ki un se haalat bayan kar ke
miTTi mein aabru ko apni milaya jae
sauda-e-ashiqi ka hai aaj phir taqaza
phir qais ke junun ka jalwa dikhaya jae
aao ki shaiKH ji ko saghar dikha ke dekhen
ek bar shaiKH ko bhi ab aazmaya jae
shayad hamare ghar par wo bhul kar hi aaen
is aasare pe apne ghar ko sajaya jae
us sang-dil ke 'shaeq' badle hue hain tewar
apna fasana-e-dil kyon kar sunaya jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.