sahra mein diwar banana jaane kaisa ho
sahrā meñ dīvār banānā jaane kaisā ho
aur phir is se sar Takrānā jaane kaisā ho
ye raste jo ham ne pag pag aap bikhere haiñ
in rastoñ se lauT ke jaanā jaane kaisā ho
jis kī poreñ dil kī ik ik dhaḌkan gintī haiñ
jis ko ham ne ḳhud gardānā jaane kaisā ho
us ke sāmne ham kyā jāneñ dil par kyā guzre
naam tak apnā yaad na aanā jaane kaisā ho
us kī nigāh meñ aanā koī chhoTī baat nahīñ
us ke dil meñ raah bhī paanā jaane kaisā ho
ham kyā jāneñ paar lageñ yā aar raheñ 'ḳhālid'
rah gum-karda mar-khap jaanā jaane kaisā ho
sahra mein diwar banana jaane kaisa ho
aur phir is se sar Takrana jaane kaisa ho
ye raste jo hum ne pag pag aap bikhere hain
in raston se lauT ke jaana jaane kaisa ho
jis ki poren dil ki ek ek dhaDkan ginti hain
jis ko hum ne KHud gardana jaane kaisa ho
us ke samne hum kya jaanen dil par kya guzre
nam tak apna yaad na aana jaane kaisa ho
us ki nigah mein aana koi chhoTi baat nahin
us ke dil mein rah bhi pana jaane kaisa ho
hum kya jaanen par lagen ya aar rahen 'KHalid'
rah gum-karda mar-khap jaana jaane kaisa ho
- Book : Funoon (Monthly) (Pg. 532)
- Author : Ahmad Nadeem Qasmi
- Publication : 4 Maklood Road, Lahore (25Edition Nov. Dec. 1986)
- Edition : 25Edition Nov. Dec. 1986
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.