sahra mein hun junun ke bhi aasar hi nahin
sahrā meñ huuñ junūñ ke bhī āsār hī nahīñ
sar phoḌne ke vāste dīvār hī nahīñ
jis kī davā-e-dil kī zarūrat ke vāste
ham chārāgar hue to vo bīmār hī nahīñ
apne vatan kī ḳhaak liye phir rahā huuñ maiñ
us kī vafāoñ se mujhe inkār hī nahīñ
taqdīr ke haiñ khel javāñ ishq jab huā
tab khelne ke vāste mañjhdār hī nahīñ
ham rah-navard-e-shauq ko sahrā hī Thiik hai
kyā lutf mai-kade meñ agar yaar hī nahīñ
sad iftiḳhār ġhairoñ ko dīdār-e-ām hai
sad-haif ham ko dāvat-e-dīdār hī nahīñ
be-bas hī kar diyā hai irādoñ ne ai 'suhail'
qismat ne kar diyā mujhe lā-chār hī nahīñ
sahra mein hun junun ke bhi aasar hi nahin
sar phoDne ke waste diwar hi nahin
jis ki dawa-e-dil ki zarurat ke waste
hum chaaragar hue to wo bimar hi nahin
apne watan ki KHak liye phir raha hun main
us ki wafaon se mujhe inkar hi nahin
taqdir ke hain khel jawan ishq jab hua
tab khelne ke waste manjhdar hi nahin
hum rah-naward-e-shauq ko sahra hi Thik hai
kya lutf mai-kade mein agar yar hi nahin
sad iftiKHar ghairon ko didar-e-am hai
sad-haif hum ko dawat-e-didar hi nahin
be-bas hi kar diya hai iradon ne ai 'suhail'
qismat ne kar diya mujhe la-chaar hi nahin
- Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 332)
- Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.