sahra mein jo hum aakar Thahre hain to Dar kya hai
sahrā meñ jo ham aakar Thahre haiñ to Dar kyā hai
ham ḳhāna-ba-doshoñ kā sāmān-e-safar kyā hai
kohre kā sā ik aalam aatā hai nazar ham ko
vādī-e-shab-e-ġham meñ kyā jaane kidhar kyā hai
mehr-o-mah-o-anjum se aage hai tirī manzil
ma.alūm nahīñ tujh ko parvāz-e-bashar kyā hai
ye silsila yādoñ kā vo qāfila jalvoñ kā
tārīki-e-shab kyā hai aur nūr-e-sahar kyā hai
āshufta-mizājī kā kyā us se kareñ shikva
dīvāne ko ḳhud apnī hālat kī ḳhabar kyā hai
jhūTe haiñ sabhī rishte kyā in kā yaqīñ 'ahmad'
aalam hai sarāboñ kā aur pesh-e-nazar kyā hai
sahra mein jo hum aakar Thahre hain to Dar kya hai
hum KHana-ba-doshon ka saman-e-safar kya hai
kohre ka sa ek aalam aata hai nazar hum ko
wadi-e-shab-e-gham mein kya jaane kidhar kya hai
mehr-o-mah-o-anjum se aage hai teri manzil
malum nahin tujh ko parwaz-e-bashar kya hai
ye silsila yaadon ka wo qafila jalwon ka
tariki-e-shab kya hai aur nur-e-sahar kya hai
aashufta-mizaji ka kya us se karen shikwa
diwane ko KHud apni haalat ki KHabar kya hai
jhuTe hain sabhi rishte kya in ka yaqin 'ahmad'
aalam hai sarabon ka aur pesh-e-nazar kya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.