sahra sahra ghum rahe hain kya kya swang rachae hain
sahra sahra ghum rahe hain kya kya swang rachae hain
Saghir Ahmad Sufi
MORE BYSaghir Ahmad Sufi
sahrā sahrā ghuum rahe haiñ kyā kyā svāñg rachā.e haiñ
aaj tumhāre shahr meñ pyāre jogī ban kar aa.e haiñ
chāroñ or añdherā pā kar man kī jot jagā.e haiñ
jo 'ālam meñ rusvā kar de aisā rog lagā.e haiñ
ġham kī bāteñ kahte kahte hoñToñ ko sī lete haiñ
kitnā bojh hai bhārī dil par jo barsoñ se uThā.e haiñ
ham haiñ tanhā rain añdherī tūfānoñ kā jhoñkā bhī
chalte hī bujh jaate haiñ sab jitne charāġh jalā.e haiñ
'sūfī' jī dīvāne Thahre aql-o-hosh kī baat kahāñ
lekin vo bhī tujh se bichhaḌ kar aaj bahut pachhtā.e haiñ
sahra sahra ghum rahe hain kya kya swang rachae hain
aaj tumhaare shahr mein pyare jogi ban kar aae hain
chaaron or andhera pa kar man ki jot jagae hain
jo 'alam mein ruswa kar de aisa rog lagae hain
gham ki baaten kahte kahte honTon ko si lete hain
kitna bojh hai bhaari dil par jo barson se uThae hain
hum hain tanha rain andheri tufanon ka jhonka bhi
chalte hi bujh jate hain sab jitne charagh jalae hain
'sufi' ji diwane Thahre aql-o-hosh ki baat kahan
lekin wo bhi tujh se bichhaD kar aaj bahut pachhtae hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.