sahra se dur rahti hai fasl-e-bahaar kyon
sahrā se duur rahtī hai fasl-e-bahār kyoñ
ye jaan kar bhī us ko rahe intizār kyoñ
sangam hai rang-o-bū kā shagufta hai har gulāb
shabnam ko le ke āñkhoñ meñ hai sogvār kyoñ
jab tujh ko jān-o-dil meñ bhī tahlīl kar liyā
phir aa.e lab pe naam tirā baar baar kyoñ
terī vafā pe dil ko bharosa to hai magar
kartā hai phir savāl mujhe e.atibār kyoñ
jab maiñ ne tere paañv pe sar apnā rakh diyā
be-sar ko aise detā hai phir iḳhtiyār kyoñ
hai iztirāb-e-dil bhī agar pyaar kā asar
dete ho phir kabhī kabhī dil ko qarār kyoñ
tujh se udhār māñgī thī āñkhoñ kī raushnī
andhe ko mil sakī na magar rahguzār kyoñ
sahra se dur rahti hai fasl-e-bahaar kyon
ye jaan kar bhi us ko rahe intizar kyon
sangam hai rang-o-bu ka shagufta hai har gulab
shabnam ko le ke aankhon mein hai sogwar kyon
jab tujh ko jaan-o-dil mein bhi tahlil kar liya
phir aae lab pe nam tera bar bar kyon
teri wafa pe dil ko bharosa to hai magar
karta hai phir sawal mujhe eatibar kyon
jab main ne tere panw pe sar apna rakh diya
be-sar ko aise deta hai phir iKHtiyar kyon
hai iztirab-e-dil bhi agar pyar ka asar
dete ho phir kabhi kabhi dil ko qarar kyon
tujh se udhaar mangi thi aankhon ki raushni
andhe ko mil saki na magar rahguzar kyon
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.