sahra se ishq basti se wahshat use bhi thi
sahrā se 'ishq bastī se vahshat use bhī thī
rasta badal ke chalne kī 'ādat use bhī thī
jab maiñ hī kar rahā thā adākāriyāñ to phir
kaise karūñ yaqīñ ki mohabbat use bhī thī
maiñ thā kisī qabīle se niklā huā faqīr
duniyā kī raunaqoñ se 'adāvat use bhī thī
sach se vo muñh ko pher ke bach to gayā magar
kār-e-jafā pe dost nadāmat use bhī thī
vo ḳhud munāfaqat kī bhī had paar kar gayā
garche munāfiqoñ se to nafrat use bhī thī
sahra se 'ishq basti se wahshat use bhi thi
rasta badal ke chalne ki 'adat use bhi thi
jab main hi kar raha tha adakariyan to phir
kaise karun yaqin ki mohabbat use bhi thi
main tha kisi qabile se nikla hua faqir
duniya ki raunaqon se 'adawat use bhi thi
sach se wo munh ko pher ke bach to gaya magar
kar-e-jafa pe dost nadamat use bhi thi
wo KHud munafaqat ki bhi had par kar gaya
garche munafiqon se to nafrat use bhi thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.