Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sahra se naddi ke safar mein rawan thi KHak

Mahender Kumar Sani

sahra se naddi ke safar mein rawan thi KHak

Mahender Kumar Sani

MORE BYMahender Kumar Sani

    sahrā se naddī ke safar meñ ravāñ thī ḳhaak

    yaanī apnī asl meñ ik imkāñ thī ḳhaak

    aisī tāza-kārī is bosīda-varaq par

    merī shakl meñ aane se pahle kahāñ thī ḳhaak

    havā uḌaa.ī us ne ik ik aalam

    ye us daur baat hai jab ki javāñ thī ḳhaak

    ik ḳhushbū zad meñ thā us har raqs

    aur isī ḳhushbū ke liye makāñ thī ḳhaak

    us meñ jitnī girheñ thiiñ sab aab thiiñ

    varna apne rang meñ to āsāñ thī ḳhaak

    sahra se naddi ke safar mein rawan thi KHak

    yani apni asl mein ek imkan thi KHak

    aisi taza-kari is bosida-waraq par

    meri shakl mein aane se pahle kahan thi KHak

    hawa uDai us ne ek ek aalam ki

    ye us daur ki baat hai jab ki jawan thi KHak

    ek KHushbu ki zad mein tha us ka har raqs

    aur isi KHushbu ke liye makan thi KHak

    us mein jitni girhen thin sab aab ki thin

    warna apne rang mein to aasan thi KHak

    Source :
    • Book : Maujood Ki Nisbat Se (Pg. 29)
    • Author : Mahendra Kumar Sani
    • Publication : Rekhta Publications (2019)
    • Edition : First

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now