sahra se tahi the ram-e-dariya mein nahin the
sahrā se tahī the ram-e-dariyā meñ nahīñ the
ham log tire kunj-e-fasāna meñ nahīñ the
dil ḳhud se judā ho ke unheñ DhūñD rahā thā
vo din ki jo imkān-e-zamāna meñ nahīñ the
ik hairat-e-raushan sī rahī chashm ke hamrāh
ham garche fusūñ-ḳhāna-e-fardā meñ nahīñ the
jab zaḳhm damak uTThā to vo bhī palaT aa.e
shāmil jo kabhī rasm-e-mudāvā meñ nahīñ the
the tujh se varā naqsh kisī aur ke raushan
ham ḳhāk-basar terī tamanna meñ nahīñ the
ḳhushbū ke tasalsul kī rivāyat ke haiñ ham log
kab phuul se ham bāġh-e-zamāna meñ nahīñ the
maiñ Dūbtī sāñsoñ kī tarah TuuT rahī thī
tum ġham kī tarah chashm-e-tamāshā meñ nahīñ the
mai-rang na the chashm-e-bahārāñ ke bulāve
ab ke vo nashe shoḳhī-e-mīnā meñ nahīñ the
ham chāh-talab aur the tum jāh-talab aur
yūsuf se chalan ishq-e-zuleḳhā meñ nahīñ the
sahra se tahi the ram-e-dariya mein nahin the
hum log tere kunj-e-fasana mein nahin the
dil KHud se juda ho ke unhen DhunD raha tha
wo din ki jo imkan-e-zamana mein nahin the
ek hairat-e-raushan si rahi chashm ke hamrah
hum garche fusun-KHana-e-farda mein nahin the
jab zaKHm damak uTTha to wo bhi palaT aae
shamil jo kabhi rasm-e-mudawa mein nahin the
the tujh se wara naqsh kisi aur ke raushan
hum KHak-basar teri tamanna mein nahin the
KHushbu ke tasalsul ki riwayat ke hain hum log
kab phul se hum bagh-e-zamana mein nahin the
main Dubti sanson ki tarah TuT rahi thi
tum gham ki tarah chashm-e-tamasha mein nahin the
mai-rang na the chashm-e-bahaaran ke bulawe
ab ke wo nashe shoKHi-e-mina mein nahin the
hum chah-talab aur the tum jah-talab aur
yusuf se chalan ishq-e-zuleKHa mein nahin the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.