sahra se wapas aae hain Dube hain pyas mein
sahrā se vāpas aa.e haiñ Duube haiñ pyaas meñ
bhar do samundaroñ ko hamāre gilās meñ
dil meñ ḳhayāl-e-ḳhāk-e-tamannā liye hue
leTā huā hai kaun ye maile libās meñ
maujoñ kā lahja dekh ke mahsūs ye huā
dariyā nahīñ hai aaj to hosh-o-havās meñ
apne hasīn ḳhvāb kī ta.amīr ke liye
bechā hai ḳhud ko maiñ ne mahājan ke paas meñ
'anvar' matā-e-dard kī tārīkiyāñ liye
aayā hai kitnī duur ujāloñ kī aas meñ
sahra se wapas aae hain Dube hain pyas mein
bhar do samundaron ko hamare gilas mein
dil mein KHayal-e-KHak-e-tamanna liye hue
leTa hua hai kaun ye maile libas mein
maujon ka lahja dekh ke mahsus ye hua
dariya nahin hai aaj to hosh-o-hawas mein
apne hasin KHwab ki tamir ke liye
becha hai KHud ko main ne mahajan ke pas mein
'anwar' mata-e-dard ki tarikiyan liye
aaya hai kitni dur ujalon ki aas mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.