sahraon ke dost the hum KHud-arai se KHatm hue
sahrāoñ ke dost the ham ḳhud-ārā.ī se ḳhatm hue
uupar uupar ḳhaak uḌaa.ī gahrā.ī se ḳhatm hue
vīrāna bhī ham the ḳhāmoshī bhī ham the dil bhī ham
yaksūī se ishq kiyā aur yaktā.ī se ḳhatm hue
dariyā daldal parbat jañgal andar tak aa pahuñche the
isī bastī ke rahne vaale tanhā.ī se ḳhatm hue
kitnī āñkheñ thiiñ jo apnī bīnā.ī meñ Duub ga.iiñ
kitne manzar the jo apnī pahnā.ī se ḳhatm hue
'ādil' is rahdārī se vābasta kuchh gul-daste the
ruk ruk kar baḌhne vāloñ kī paspā.ī se ḳhatm hue
sahraon ke dost the hum KHud-arai se KHatm hue
upar upar KHak uDai gahrai se KHatm hue
virana bhi hum the KHamoshi bhi hum the dil bhi hum
yaksui se ishq kiya aur yaktai se KHatm hue
dariya daldal parbat jangal andar tak aa pahunche the
isi basti ke rahne wale tanhai se KHatm hue
kitni aankhen thin jo apni binai mein Dub gain
kitne manzar the jo apni pahnai se KHatm hue
'adil' is rahdari se wabasta kuchh gul-daste the
ruk ruk kar baDhne walon ki paspai se KHatm hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.