sahraon mein KHak uDai surat majnun wali ki
sahrāoñ meñ ḳhaak uḌaa.ī sūrat majnūñ vaalī kī
mutanabbī ko sāmne rakkhā nazmeñ paḌhī haiñ 'hālī' kī
ūñToñ ko bhī le aayā 'iqbāl' ke sāqī-nāma tak
yā'nī mujh se charvāhe ne urdu kī rakhvālī kī
ḳhema uThā.e sahrā sahrā shāyad yuuñ phirtā na kabhī
ḳhāna-badoshan sun letī gar yaaro baat savālī kī
aas kī pariyāñ qasr-e-dil kī chhat par aanā bhuul ga.iiñ
jab se ḳhvāb meñ sūrat dekhī sindhī ajrak vaalī kī
'mīr' kī turbat par ġhazloñ ne ro-ro rakh diiñ apnī chhab
maqta' Tāñkne vāloñ ne jab had kar dī bad-halī kī
naranag kī vaadī meñ ik birhan gaa.e hijr kā raag
Thahar zarā ai 'ḳhāna-badoshā' suujh hai gar santhālī kī
sahraon mein KHak uDai surat majnun wali ki
mutanabbi ko samne rakkha nazmen paDhi hain 'haali' ki
unTon ko bhi le aaya 'iqbaal' ke saqi-nama tak
ya'ni mujh se charwahe ne urdu ki rakhwali ki
KHema uThae sahra sahra shayad yun phirta na kabhi
KHana-badoshan sun leti gar yaro baat sawali ki
aas ki pariyan qasr-e-dil ki chhat par aana bhul gain
jab se KHwab mein surat dekhi sindhi ajrak wali ki
'mir' ki turbat par ghazlon ne ro-ro rakh din apni chhab
maqta' Tankne walon ne jab had kar di bad-hali ki
naranag ki wadi mein ek birhan gae hijr ka rag
Thahar zara ai 'KHana-badosha' sujh hai gar santhaali ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.