sahte rahe wo apni masihaiyon ka dukh
sahte rahe vo apnī masīhā.iyoñ kā dukh
jo zaḳhm jānte rahe purvā.iyoñ kā dukh
sahrā kī ret uḌ chalī bastī kī samt aur
mahfil meñ gūñjtā rahā tanhā.iyoñ kā dukh
bārish meñ rone vaale suhūlat se ro liye
dikhtā kahāñ hai chhāñv meñ parchhā.iyoñ kā dukh
ham ġham-shanās aise madārī kī bhiiḌ the
behtar dikhāyā jis ne tamāshā.iyoñ kā dukh
bistar kī silvaToñ meñ utartā rahā thā sab
tere baġhair lī ga.ī añgḌā.iyoñ kā dukh
sahte rahe wo apni masihaiyon ka dukh
jo zaKHm jaante rahe purwaiyon ka dukh
sahra ki ret uD chali basti ki samt aur
mahfil mein gunjta raha tanhaiyon ka dukh
barish mein rone wale suhulat se ro liye
dikhta kahan hai chhanw mein parchhaiyon ka dukh
hum gham-shanas aise madari ki bhiD the
behtar dikhaya jis ne tamashaiyon ka dukh
bistar ki silwaTon mein utarta raha tha sab
tere baghair li gai angDaiyon ka dukh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.