sai-e-gham chashm-e-sharar-bar tak aa pahunchi hai
sa.ī-e-ġham chashm-e-sharar-bār tak aa pahuñchī hai
ḳhāmushī jur.at-e-iz.hār tak aa pahuñchī hai
ab kahāñ ham meñ vo aglā sā niyāz-o-taslīm
baat un se had-e-takrār tak aa pahuñchī hai
mohtaram chāra-garo ab bhī na samjho to haif
dil kī uljhan ruḳh-e-bīmār tak aa pahuñchī hai
kyoñ na rah jaa.e pighal kar sar-o-sāmān-e-hayāt
garmī-e-husn bhī bāzār tak aa pahuñchī hai
ham ne chheḌā thā kabhī qissa-e-zulf-o-mizhgāñ
baat baḌh kar rasan-o-dār tak aa pahuñchī hai
hai yahī vaqt sañbhalne kā sañbhal jā nādāñ
mastī-e-jaur jafā-kār tak aa pahuñchī hai
zindagī kasrat-e-iqrār se ghabrā ke 'shafīq'
dekhiye vahdat-e-inkār tak aa pahuñchī hai
sai-e-gham chashm-e-sharar-bar tak aa pahunchi hai
KHamushi jurat-e-izhaar tak aa pahunchi hai
ab kahan hum mein wo agla sa niyaz-o-taslim
baat un se had-e-takrar tak aa pahunchi hai
mohtaram chaara-garo ab bhi na samjho to haif
dil ki uljhan ruKH-e-bimar tak aa pahunchi hai
kyon na rah jae pighal kar sar-o-saman-e-hayat
garmi-e-husn bhi bazar tak aa pahunchi hai
hum ne chheDa tha kabhi qissa-e-zulf-o-mizhgan
baat baDh kar rasan-o-dar tak aa pahunchi hai
hai yahi waqt sanbhalne ka sanbhal ja nadan
masti-e-jaur jafa-kar tak aa pahunchi hai
zindagi kasrat-e-iqrar se ghabra ke 'shafiq'
dekhiye wahdat-e-inkar tak aa pahunchi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.