sailab-e-dard had se jab apni guzar gaya
sailāb-e-dard had se jab apnī guzar gayā
maiñ intihā-e-karb kī tah meñ utar gayā
ehsās-e-kamtarī thā to kam-zarf Dar gayā
chup-chāp reg-zār meñ bādal utar gayā
tark-e-ta.alluqāt kī hai kaifiyat yahī
goyā havā kā jhoñkā thā aa kar guzar gayā
maiñ is qadar huuñ ālam-e-tanhā.ī-āshnā
apnī sadā-e-pā jo sunī aaj Dar gayā
tum kyā ga.e ki ziist se har ik ḳhushī ga.ī
lekin ġham-e-firāq musalsal Thahar gayā
sailab-e-dard had se jab apni guzar gaya
main intiha-e-karb ki tah mein utar gaya
ehsas-e-kamtari tha to kam-zarf Dar gaya
chup-chap reg-zar mein baadal utar gaya
tark-e-talluqat ki hai kaifiyat yahi
goya hawa ka jhonka tha aa kar guzar gaya
main is qadar hun aalam-e-tanhai-ashna
apni sada-e-pa jo suni aaj Dar gaya
tum kya gae ki zist se har ek KHushi gai
lekin gham-e-firaq musalsal Thahar gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.