sailab ka guzar bhi to logon ki maut hai
sailāb kā guzar bhī to logoñ kī maut hai
dariyā kā bāñjh-pan jahāñ nahroñ kī maut hai
kuchh bhī to kahnā rū-ba-rū bahroñ ke hai fuzūl
jaise ḳhalā meñ chīḳhnā chīḳhoñ kī maut hai
rasta saḌak talak na musāfir ko deñ agar
mere ḳhayāl meñ to ye galiyoñ kī maut hai
āñkhoñ se niiñd ke sabhī āsār gum-shuda
shab bhar hamārā jāgnā ḳhvāboñ kī maut hai
māhaul kī hifāzateñ lāzim haiñ dosto
titlī kī maut asl meñ phūloñ kī maut hai
bārish ho dhuup meñ ki dhanak āsmāñ pe ho
āñkheñ na hoñ to ye bhī nazāroñ kī maut hai
bikhre paḌe haiñ jā-ba-jā kitne hī ḳhāl-o-ḳhad
ya.anī ki TuuTā aa.ina chehroñ kī maut hai
be-shak fasīl jī uThī gaare ke vaar se
lekin 'zamān' ye to darāḌoñ kī maut hai
sailab ka guzar bhi to logon ki maut hai
dariya ka banjh-pan jahan nahron ki maut hai
kuchh bhi to kahna ru-ba-ru bahron ke hai fuzul
jaise KHala mein chiKHna chiKHon ki maut hai
rasta saDak talak na musafir ko den agar
mere KHayal mein to ye galiyon ki maut hai
aankhon se nind ke sabhi aasar gum-shuda
shab bhar hamara jagna KHwabon ki maut hai
mahaul ki hifazaten lazim hain dosto
titli ki maut asl mein phulon ki maut hai
barish ho dhup mein ki dhanak aasman pe ho
aankhen na hon to ye bhi nazaron ki maut hai
bikhre paDe hain ja-ba-ja kitne hi KHal-o-KHad
yani ki TuTa aaina chehron ki maut hai
be-shak fasil ji uThi gare ke war se
lekin 'zaman' ye to daraDon ki maut hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.