sailab-sifat hai teri yaadon ki ghaTa bhi
sailāb-sifat hai tirī yādoñ kī ghaTā bhī
jaate hue sāvan ne ajab dhuum machā dī
sab naam tire the sabhī imkān tire the
tujh ko hī har ik moḌ pe ruk-ruk ke sadā dī
sahnā vahī ik hijr kā āzār zamīñ ko
aur chashm-e-falak kī vahī billor-numā.ī
ik jaam kī ummīd pe vaañ ham bhī khaḌe the
ḳhushbū se bharī thī tirī qurbat kī surāhī
rakkhūñ kahāñ is hijr se labrez badan ko
āñkhoñ se chhalakne lagī ab dil kī gulābī
sailab-sifat hai teri yaadon ki ghaTa bhi
jate hue sawan ne ajab dhum macha di
sab nam tere the sabhi imkan tere the
tujh ko hi har ek moD pe ruk-ruk ke sada di
sahna wahi ek hijr ka aazar zamin ko
aur chashm-e-falak ki wahi billor-numai
ek jam ki ummid pe wan hum bhi khaDe the
KHushbu se bhari thi teri qurbat ki surahi
rakkhun kahan is hijr se labrez badan ko
aankhon se chhalakne lagi ab dil ki gulabi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.