sair-e-bazar-e-jahan karte hue hum ko chala
sair-e-bāzār-e-jahāñ karte hue ham ko chalā
dil kī qīmat kā pata phuul kī arzānī se
kin sitāroñ ne jaḌeñ pakḌeñ sifāl-e-nam meñ
shab-gazīdoñ kī samāvāt meñ gul-bānī se
qāfile misl-e-sabā dil se guzar jaate haiñ
kaun miltā hai bharī bhiiḌ meñ āsānī se
ghar ke hote hue ham aise safar-baḳht-nujūm
milte aa.e haiñ bahut be-sar-o-sāmānī se
sair-e-bazar-e-jahan karte hue hum ko chala
dil ki qimat ka pata phul ki arzani se
kin sitaron ne jaDen pakDen sifal-e-nam mein
shab-gazidon ki samawat mein gul-bani se
qafile misl-e-saba dil se guzar jate hain
kaun milta hai bhari bhiD mein aasani se
ghar ke hote hue hum aise safar-baKHt-nujum
milte aae hain bahut be-sar-o-samani se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.