sair-e-gulshan se jo fursat ho idhar bhi dekho
Interesting Fact
(Urdu Study Circle in the house of Syed Zawar Abbas 'Zawar', October 31, 1965)
sair-e-gulshan se jo fursat ho idhar bhī dekho
rañg-e-gul dekh chuke dāġh-e-jigar bhī dekho
merī mayyat pe use ḳhāk-basar bhī dekho
zindagī-bhar kī riyāzat kā samar bhī dekho
nuqta-e-husn ba-andāz-e-digar bhī dekho
ishq kā zāviya-e-husn-e-nazar bhī dekho
ek hī husn ke jalve nazar ā.eñge tamām
ā.ina-ḳhāna-e-duniyā meñ jidhar bhī dekho
hasrat-o-yās-o-ġham-o-ranj haiñ mehmāñ dil meñ
kitnā ābād hai allāh kā ghar bhī dekho
bikhrī sindūr bharī zulfoñ meñ rū-e-raushan
surḳhi-e-shām meñ unvān-e-sahar bhī dekho
marte marte na haTe rāh-e-mohabbat se qadam
mujh meñ sau aib sahī ek hunar bhī dekho
farq karte nahīñ 'sho.ala' ḳhazaf-o-gauhar meñ
ye sitam-zarfī-e-arbāb-e-nazar bhī dekho
sair-e-gulshan se jo fursat ho idhar bhi dekho
rang-e-gul dekh chuke dagh-e-jigar bhi dekho
meri mayyat pe use KHak-basar bhi dekho
zindagi-bhar ki riyazat ka samar bhi dekho
nuqta-e-husn ba-andaz-e-digar bhi dekho
ishq ka zawiya-e-husn-e-nazar bhi dekho
ek hi husn ke jalwe nazar aaenge tamam
aaina-KHana-e-duniya mein jidhar bhi dekho
hasrat-o-yas-o-gham-o-ranj hain mehman dil mein
kitna aabaad hai allah ka ghar bhi dekho
bikhri sindur bhari zulfon mein ru-e-raushan
surKHi-e-sham mein unwan-e-sahar bhi dekho
marte marte na haTe rah-e-mohabbat se qadam
mujh mein sau aib sahi ek hunar bhi dekho
farq karte nahin 'shoala' KHazaf-o-gauhar mein
ye sitam-zarfi-e-arbab-e-nazar bhi dekho
- Book : Naghmah-e-Fikr (Pg. 101)
- Author : Shola Saiyed Momin Husain Taqvi Kararivi
- Publication : Shabistan 218 Shahah ganj Allahabad (1968)
- Edition : 1968
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.