sair kahan ki kya kya dekha jo bhi bita haal likho
sair kahāñ kī kyā kyā dekhā jo bhī biitā haal likho
kaise guzrā saal tumhārā ham ko sab ahvāl likho
pahle-pahal jab mulk chhuTā aur des nayā ik dekhā to
kis ko sochā yaad kiyā kyā kyā kyā aa.e ḳhayāl likho
yaad hamārī aa.ī thī yā bhuul ga.e har ahd-e-vafā
vaqt ne kuchh baaqī bhī rakhā yā ho gayā sab pāmāl likho
bāteñ us ne kaisī kī thiiñ kitnā achchhā tum ko lagā
mujh sā behtar kaisā paayā us kī koī misāl likho
zaḳhm jo tum ne ham ko diye the sab haiñ taaza vaise hī
haal tumhārā ab hai kaisā dil kī ḳhalish kā haal likho
sair kahan ki kya kya dekha jo bhi bita haal likho
kaise guzra sal tumhaara hum ko sab ahwal likho
pahle-pahal jab mulk chhuTa aur des naya ek dekha to
kis ko socha yaad kiya kya kya kya aae KHayal likho
yaad hamari aai thi ya bhul gae har ahd-e-wafa
waqt ne kuchh baqi bhi rakha ya ho gaya sab pamal likho
baaten us ne kaisi ki thin kitna achchha tum ko laga
mujh sa behtar kaisa paya us ki koi misal likho
zaKHm jo tum ne hum ko diye the sab hain taza waise hi
haal tumhaara ab hai kaisa dil ki KHalish ka haal likho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.