sajā kar bazm meñ laa.ī ga.ī huuñ
yahāñ zid karke bulvā.ī ga.ī huuñ
idhar kuchh bhī na bolūñgī ye tai hai
ba-taur-e-ḳhās samjhā.ī ga.ī huuñ
kisī dar par bhī chāhat se ga.ī jab
usī dar se meñ Thukrā.ī ga.ī huuñ
ḳhatā jab bhī huī hai koī mujh se
pakaḌ kar kaan se laa.ī ga.ī huuñ
mohabbat ke tape sahrā kī jānib
maiñ nange paañv chalvā.ī ga.ī huuñ
mohabbat kā huuñ ik pur-kaif naġhma
maiñ har mahfil meñ 'gul' gaa.ī ga.ī huuñ
saja kar bazm mein lai gai hun
yahan zid karke bulwai gai hun
idhar kuchh bhi na bolungi ye tai hai
ba-taur-e-KHas samjhai gai hun
kisi dar par bhi chahat se gai jab
usi dar se mein Thukrai gai hun
KHata jab bhi hui hai koi mujh se
pakaD kar kan se lai gai hun
mohabbat ke tape sahra ki jaanib
main nange panw chalwai gai hun
mohabbat ka hun ek pur-kaif naghma
main har mahfil mein 'gul' gai gai hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.