sajdon mein aajizi ka maza humse puchhiye
sajdoñ meñ ājizī kā maza ham se pūchhiye
be-laus bandagī kā maza ham se pūchhiye
logo baḌe ḳhulūs se luuTe ga.e haiñ ham
rahbar kī rahbarī kā maza ham se pūchhiye
tark-e-ta.alluqāt pe aañsū nikal paḌe
barsoñ kī dostī kā maza ham se pūchhiye
ho kar judā vo mujh se mire saath saath hai
is rabt-e-bāhamī kā maza ham se pūchhiye
ham ne use qarīb se dekhā hai bārhā
kam-baḳht muflisī kā maza ham se pūchhiye
insāniyat zamāne meñ maflūj ho ga.ī
tahzīb kī ġhamī kā maza ham se pūchhiye
jab zikr-e-mustafā meñ the masrūf ham 'jamīl'
us vaqt kī ḳhushī kā maza ham se pūchhiye
sajdon mein aajizi ka maza hum se puchhiye
be-laus bandagi ka maza hum se puchhiye
logo baDe KHulus se luTe gae hain hum
rahbar ki rahbari ka maza hum se puchhiye
tark-e-talluqat pe aansu nikal paDe
barson ki dosti ka maza hum se puchhiye
ho kar juda wo mujh se mere sath sath hai
is rabt-e-bahami ka maza hum se puchhiye
hum ne use qarib se dekha hai barha
kam-baKHt muflisi ka maza hum se puchhiye
insaniyat zamane mein mafluj ho gai
tahzib ki ghami ka maza hum se puchhiye
jab zikr-e-mustafa mein the masruf hum 'jamil'
us waqt ki KHushi ka maza hum se puchhiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.