saje hain dar salibon pe sar nahin aaya
saje haiñ daar salīboñ pe sar nahīñ aayā
kisī kī ruuh meñ ab tak bhañvar nahīñ aayā
paḌhā thā zulm kī had par hai inqalāb kahīñ
hamārī raakh meñ ab tak sharar nahīñ aayā
bahut kaThin thā safar paañv ghis ga.e mere
huī hai shaam magar merā ghar nahīñ aayā
phañsā hai qāfila ab bheḌiyoñ ke narġhe meñ
hai intizār par ab tak qamar nahīñ aayā
jhuke huoñ ko yahāñ ḳhil’ateñ sile meñ mileñ
maiñ chāhtā thā magar ye hunar nahīñ aayā
sadā lagā.ī hai par band haiñ darīche sabhī
sadā meñ merī abhī vo asar nahīñ aayā
riyāzatoñ meñ kamī rah ga.ī kahīñ 'shāhid'
hayāt ḳhatm hai lekin samar nahīñ aayā
saje hain dar salibon pe sar nahin aaya
kisi ki ruh mein ab tak bhanwar nahin aaya
paDha tha zulm ki had par hai inqalab kahin
hamari rakh mein ab tak sharar nahin aaya
bahut kaThin tha safar panw ghis gae mere
hui hai sham magar mera ghar nahin aaya
phansa hai qafila ab bheDiyon ke narghe mein
hai intizar par ab tak qamar nahin aaya
jhuke huon ko yahan KHil’aten sile mein milen
main chahta tha magar ye hunar nahin aaya
sada lagai hai par band hain dariche sabhi
sada mein meri abhi wo asar nahin aaya
riyazaton mein kami rah gai kahin 'shahid'
hayat KHatm hai lekin samar nahin aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.