saje-sajae hue sabz manzaron se na jaen
saje-sajā.e hue sabz manzaroñ se na jaa.eñ
ḳhudā kare ki ye dariyā kabhī gharoñ se na jaa.eñ
ba-nām-e-ishq-o-havas kuchh na kuchh rahe raushan
kuchh aisā ho ki ye saude kabhī saroñ se na jaa.eñ
fazā-e-dasht-e-tarab-nāk ko davām mile
gulāb ḳhushbū se aur titliyāñ paroñ se na jaa.eñ
zarūratoñ ko ziyāda na kar ḳhudā-e-karīm
nikal ke paañv bahut duur chādaroñ se na jaa.eñ
hurūf-o-nutq kī har anjuman meñ raunaq ho
ḳhayāl ruuTh ke hargiz suḳhan-varoñ se na jaa.eñ
isī tarah saf-e-sayyārgāñ rahe qaa.em
nujūm-o-māh alag apne mahvaroñ se na jaa.eñ
amīr-e-asr se fariyād karnā chāhte haiñ
saroñ ko phoḌne ye log pattharoñ se na jaa.eñ
saje-sajae hue sabz manzaron se na jaen
KHuda kare ki ye dariya kabhi gharon se na jaen
ba-nam-e-ishq-o-hawas kuchh na kuchh rahe raushan
kuchh aisa ho ki ye saude kabhi saron se na jaen
faza-e-dasht-e-tarab-nak ko dawam mile
gulab KHushbu se aur titliyan paron se na jaen
zaruraton ko ziyaada na kar KHuda-e-karim
nikal ke panw bahut dur chadaron se na jaen
huruf-o-nutq ki har anjuman mein raunaq ho
KHayal ruTh ke hargiz suKHan-waron se na jaen
isi tarah saf-e-sayyargan rahe qaem
nujum-o-mah alag apne mahwaron se na jaen
amir-e-asr se fariyaad karna chahte hain
saron ko phoDne ye log pattharon se na jaen
- Book : Kulliyat-e-Asad Badayuni (Pg. 352)
- Author : Asad Badayuni
- Publication : National Council for Promotion of Urdu language-NCPUL (2008)
- Edition : 2008
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.